Gumsum si aankhon ne
ik din ek khwab sa dekha tha,
Aaeene mein usne apne
andar jhankna jaise seekha tha…
Nadaan sa balak tha
wo, par kab tak nadaan reh paata ?
Sochta tha dharti par
hi kahin ek swarg hai,
Par aakhir kahan tak
dhoondh paata ?
Wahan rehti hain
shwet sundar saloni pariyan..
Mamta ki deviyan,
karuna ki moortiyan..
Chal pada ik din wo
us des ki talaash mein,
Paar karta gaya nadi, naale aur
parbat un pariyon ki dhun mein..
Jab bhi thak padta,
tanik ruk jaata woh ,
Khwabon mein un
pariyon se ik baar mil leta woh…
Aur phir chal padta
us ansuni aawaaz ki or,
Jo khinche ja rahi
thi use, jaise koi kacchhi dor…
Na paanv ke chhalon
ki thi use parwaah,
Na thi badan ki choton
ki koi darkaar…
Bas dradh lakshya tha
uske saamne,
Hawa, Paani, Dhoop
sabne koshish kar li thi rokne ki…
Ab sab jaante the,
chala hai wo na thamne..
Aur upar badalon mein
kisi ne ik thandi saans li..
Pareshan ho gayee thi
kucch shaktiyan…
Uski chaal se
dagmagaa gayee thi kucch kursiyaan…
Use na pataa tha, wo
to chala jaa rahaa tha apni masti mein,
Kya farq padta tha
use, dar to tha hi nahin uski hasti mein…
Jaanta tha wo ik din manzil
milegi to sahin,
Raasta na tha to kya,
vishwas ki kami to nahin..
Phir ik din ik jangal
mein wo pahuncha,
Hare hare ped jaise
gaa rahe the wahan,
Panchhi jaise khushi
ke maare chahak rahe the..
Na jaane kyun laga
use jaise use hi wo bula rahe the..
Phir dekhi usne ik
nadi,
Chhal-chhal behti,
ithlaati nadi,
Hansti khilkhilaati,
Sangeet sunaati nadi..
Moti jaise paani ke
boondon waali nadi…
Na jaane kyun mehsoos
hue use achaanak,
Jaise yeh nadi aa
rahi ho wahin se..
Jahan thi uski
manzil…
Jaise ye nadi ho uski
humsafar,
Par jhijhaka wo,
socha, nadi se hi kyun na poochh le..
Manzil aur raasta, dono
hi ki kyun na sudh le ?
Phir socha usne, gar
hai yeh usi des se aa rahi,
To phir kyun kar hai
yeh kahin aur jaa rahi ?
Ghabda sa gaya woh, ab kya karta ?
Kya nadi se sach jaan
kar laut padta,
Ya phir nadi ko bhi
ik paath pada jaata …
Bataata use, is baar who
bhi galat thi,
Usne bhi auron ki
tarah dil ki na suni thi…
Baahav mein duniya ke
woh bhi bas beh chali thi,
Phir bhi reh na paaya
woh, puchh hi liya nadi se…
Kahan se ho tum
aayee, kahan ko ho chali ..
Kyun ho uchhalti yun,
kyun itna ho itraati,
Tum pe dayaa nahin,
hansi mujhe hai aati…
Itna sun ke nadi chaunk
gayee ik pal ko,
Phir jo khilkhilaa ke
hansi, aur chal di apni raah ko…
Sochta hi reh gaya woh ki aakhir ho kya gaya ,
Ik ajeeb si asmanjas
mein ab tha bechaara pad gaya ..
Na dikha jab koi raasta,
na koi roshni chamki,
Kuchh gussa sa aaya
use,
Kuchh sansani si
machi uske dil mein..
Par is baar bhauhen
tan gayee uski,
Daant bhinch kar,
mutthiyan bandh kar chal diya phir..
Nadi ke kinaare chala
jaa raha tha..
Par na dekhta tha us
dusht triya ki or..
Aasman mein suraj
jaise use dekhte dekhte thak sa gaya
tha,
Phusphusa ke chanda
se bola suraj – Ab mein chalta hoon,
Is pagle raahi pe
nazar rakhne ka kaam tumpe chhodta hoon…
Chanda bujh na paaya,
kehne lagaa – kyun kar uska hi dhyaan rakha jai ?
Aise to sainkdon
hain, phir is chhote se alhad par kyun yeh karam kiya jai ?
Suraj mand mand
muskaaya, bola arrey naadan, ye hi to hai wo kiran,
Wo kiran jo hum dono
ko chamkaati hai,
Wo kiran jo saare jag
ko roshni se nehlaati hai..
Dekh kaise jaa rahaa
hai madmast..
Kaun kar sakta hai
iske hausle ko past ?
Itne sunne par chanda
ne jo ik nazar dekhi wo chaal,
Kayal ho gaya wo bhi us shakti ka,
gayab ho gaye uske saare sawal…
Aur wo masoom kayaa
thi, jo is sab se anjaan thi,
Wo to bas ik nazar,
ik nischay se chale jaa rahi thi..
Pariyon ke us des tak
ik din uska pahunchna tha tay,
Saari shristi yahi
chahti thi ki uska wo milan
ho mangalmay…
Phir kya hua ? Kya
woh safal hua ? Kya use mili apni manzil ?
Yeh to pata nahin,
par kehte hain wo ik taara ban gaya ..
Apni roshni se kitne
hi sansaron ka sahaara ban gaya …
Raat ko gar kaale
aasman mein dekhoge uttar ki or,
Paaoge use wahin
sada, yuhin muskate, yuhin sharmate,
Par sada yuhin drudh,
kabhi na digne waala..
Yahi thi us taare ki
kahaani, yehi thi uski gaatha…
Use jo chahe kahen,
mujhe to ab bhi wahi puraana balak dikhta hai,
Jab bhi dekhta hoon
use, wahi anand sada milta hai…
Kyunki wo hai ab ik
taara,
Aur yaad mujhe sada dilaata
hai,
Ki abhi nahin, abhi
nahin hoon main haara…
No comments:
Post a Comment